Labels

Thursday, January 13, 2011


Jab janam liya iss dharti par,.......
tab socha thaa,kahan jana hai,
kya khana hai,kahan sirhaana hai,
kyaa khona hai,kya pana hai,
yaa khote he chale jana hai,
...
bass chalte he jana hai,
jeevan ka niyaam purana hai,
jab tak sagar mei nahi milein,
tab tak behte jaana hai,
jo aya hai, usse jaana hai,
haasna rona tou bahana hai,
dard ka rishta purana hai,
har dard mei sukh pana hai,
jeevan ka yehi fasana hai,
bass haste jana hai!!!